How to order product From Flipkart | online shopping || Flipkart se online shopping kaise Kare HD
Flipkart Online Shopping Kaise Kare Complete Guide Flipkart se hum ghar baithe shopping kar sakte he. FlipKart pe lagvag har type ke saman bechi jati hai. jese ki Mobile, Tablet, Laptop, TV, Refrigerators, washings machines, Jens, T-shirt . Ye sab saman aap Kharid sakte he Flipkart se. flipkart apne saman ko Free home delivery se sath apne customers ke address par deliver kar deta hai. Online shopping karne ka sabse bada faide yeh hai ki Local store ke mukabale online shopping site par chize bahut saste price me milta hai. Aur flipkart par Offers, Flipkart Discount coupons, Festival time me Flipkart sale yeh sab to chalta hi rahta hai. Flipkart Online Shopping Kaise Kare. Flipkart se kharida huya product ko Flipkart tracking system ke madat se aap track bhi kar sakte ho. Sirf itna hi nhi FlipKart se kharida huya Product pe kyi problems aata hai toh aap usko return bhi kar sakte ho- Flipkart par return kaise kare. Flipkart se online shopping kaise kare Flipkart me dwo tarike se shopping kiya ja sakta he. Flipkart Website aur Flipkart App se. Aap mobile use karte ho toh aap Flipkart App download karke Shopping kar sakte he. Agar aap Computer istemal karte he to FlipKart website se shopping kar sakte ho. Mein aapko dono tarike se shopping karna sikhaunga. Sabse pehle FlipKart app se shopping karna sikhenge, last me flipkart websites se shopping karna sikhenge.. Mobile Se Flipkart Shopping kaise kare Step-1:- Flipkart app se shopping karne ke liye sabse pehle apko flipkart shopping app download karna hoga. Flipkart app niche diye Link se download kare. Yeha se FlipKart app download karne par apko extra 20% Discount milega. Step-2:- Uper diye Link se FlipKart app download karne ke bad aapko flipkart mobile App ko apne mobile pe install karna hai. Install ho jane ke bad Flipkart app ko open kare. Step-3:- FlipKart shopping App Open karke sabse pehle aapko flipkart pe Log In karna hoga. 1. Jab aap first time Flipkart App open karoge tab aapko Mobile Number dalkar Sign In par click karna hoga. 2. Mobile Number dalkar Sign In karne ke bad aapke Mobile Number par ek Verification Code aayega usko is page pe dalde. verification code 3. Yeha pe aap Flipkart Id ka Password set kar lijiye. flipkart password Step-4:- Ab FlipKart ka Home Page open ho jayega. Aapko jo Product Buy karna hai usko search Box likhkar search kar lijiye aur Product ko open karle. Step-5:- Jese ki muje Mobile kharidna hai. Is liye mai FlipKart search box me Samsung galaxy On7 likh kar search kiya. Ab Samsung galaxy On7 se related sabhi products screen par show ho jayega. Muje Samsung On7 mobile kharidna to hai to mein uspar click kar deta hu. Step-6:- Samsung Galaxy on7 par click karte hi On7 ke pura details screen par aapko dikh jayega. Aap niche Samsung On7 ke all features dekh sakte ho. Ye product kharidne ke liye aapk Buy Now pe click karna hoga. Step-7:- Abhi Address Form open hoga. Aapko yeha pe Delivery Address add karna hai.Flipkart product delivery