Firse Pyaar - Anjaan Feat BlackouT HD
[Chorus] Anjaan Ho gaya mujhe kya.. Ho gaya mujhko kya... Ho gaya mujhe pyaar.. Ho gaya firse pyaar... Ho gaya mein tera yaar.. Ho gaya mujhko pyaar... [Verse] Anjaan Apne jazbaaton ko likh kar ye track tere ye naam kiya.. pyaar hai jo dil mein, alfaazon mein byaan kiya!.. jab tha dil akela mere dil ne tujhe hai yaad kiya.. haan tu hi to wo thi jiske liye sab tha chhod diya... mein bhula na tujhe na bhula wo pal hoon.. kho gya tujhme jaise sapno mein band hoon... teri ankhein hai kamal ki, teri yaadein hai hasati... wo teri pagal baatein.. tera hai banati... dikhaunga mein duniya ko wo har ek dhokebaz ko... tere sath mein chalu aur pura karu har ek khwab ko... mujhe pyar hai tujhse haan yaar hai tujhse.. ho gya ye mujhe kya puchta hu khudse.... [Chorus] Ho gaya mujhe kya.. Ho gaya mujhko kya... Ho gaya mein tera yaar.. Ho gaya firse pyaar... [Hook] Mujhe bhi pyaar hua tha, mujhe bhi pyaar hua tha... aadat si thi tu meri jaise kyu muh fer liya haan? kya meine kya kiya tha? Aisa bhi kya kiya tha? sirf apna sab kuch aur apna saara tujhe pyar diya tha... jabse hai chhod gayi tu.. aise mein jee raha hoon.. kyu hoon zinda mein ab tak, jab tu naseeb na hui? tabse leeke aur ab tak, agli taareek na hui... batade jhelu kab tak!! har pal abjeeb sa hi.. jaise! [Verse] Rehti tu mere paas hai, par tujhse mein hoon door bada... jab mar gya hoon mein tere liye to birthday wish tune kyu kara? baat karke laga tha jaise tu aaegi vapas... mujhe haan karegi fir, firse ho jayenge saath hum... par aisa sa hoga kuch nahi, mein galat hi hoon.. tu hai hi sahi... samjha de saaf jo bhi hai, khol de ye meri hathkari.. mein fass gya hoon tujhme haan aur ruk gayi thi har ghaddi... meri har Diwali kali karke tu jalati fuljhadi... meine kya bataya hoga? ye kiska naam hai mere haath par? pagal kehte hain log mujhe, kehte hain isse baat kar.. kya baat kar? jab sab khaakh kar tune dil dimaag sab badal liya... fir mein kabtak sehta tere bina kahe hi sab sun liya.. meine chun liya bin tere jeena ye gaane to bas baatein hain.. jis din se chhoda tune us din se sapne bhi nahi aate hain... par galti teri nahi, ye pyaar to kismat wale paate hain.. kismat na sahi, par mere paas teri yaadein hain...