Kalki Avatar Katha
Kalki Avatar Katha :- By Kapil Treta me Ram, Dvapar me Krishan, Kaliyuga me bane Kalki Bhagwan (Jai Shri Hari) 1) Maha Avatar or Bhagwan Vishnu ke Aantim Avatar honge Kaliyuga me. Bhagwan Shri Ram Ji Tretayuga me aaye the, Bhagwan Shri Krishan Dvaparyuga me aaye the or ab Kaliyuga me Bhagwan Kalki banenge or Bhagwan Shri Krishan ne Dvaparyuga me pehle hi bta dia tha Kaliyuga me Sambhal Gaon me mera Kalki Avatar hoga (Uttar Pradesh in India) or me fir se Satyuga ki sthapna karunga. 2) Bhagwan Parshuram Kaliyuga ke ant me dikhayi dete hai or wehe Kalki bhagwan ke guru banenge. Dvaparyuga me Bhishma Pitamah, Dronacharya or Surya Putra Karan ke guru bane the. Aise hi Tretayuga me Shri Ram ke swayamvar me dikhayi diye the or unhone Narayan ke darshan paaye the....Dvaparyuga me bhi Bhagwan Parshuram dikhayi diye the unhone Bhishma Pitamah, Dronacharya or Surya Putra Karan ko Aastra Sastra prapt karvaya tha or ant me Mahabharat Yudh hua tha or uska parinaam Pandavo ki Vijayi hui thi.......Jo aaj bhi Kaliyuga me Bhagwan Parshuram Ghor Tapasya kar rahe hai Mahendra Giri Parvat par (in Odisha). Ant me Bhagwan Kalki ko Divya Aastra Sastra Prapt karwate hain...!! 3) Jese hi Shri Ram ne Saryu me pravesh kiya, Vishnu roop dharan karke unhone Hanuman shri se kaha - hey Hanuman tumne dirghkaal tak Jivit rehne ki pratigya ki thi so hey Hanuman ! Jab tak sansaar me meri katha ka prachaar rhe tab tak tum bhi meri agya se dharti par rahoge tum Kaliyuga ke ant me hone wali pralay tak reh kar meri katha ka prachaar karoge...hey Pavan putra Hanuman Kaliyuga me dharm ka keval ek hi charan reh jayega. Ant us samay bhakton ko tumhari shayata ka visheh aavsykata hogi. kyunki Kaliyuga me keval Hari naam kirtan hi Moksh ka sulabh marg hoga. 4) (Maa Vaishno Devi or Bhagwan Kalki ke Adbhut Sambandh) Jab Vaishnavi ne Bhagwan Shri Ram se apne milan ko vanchit paya to wehe vyathit ho uthi. Bhagwan Shri Ram ne unhe madhur sabdhon me kaha "he vaishnavi tumhe abhi utni adhyaatmik shakti nahi mili hai ki tumhara Vishnu se samnvay ho sake " niraash na ho, tumhe abhi tap karte rehna hoga. Samay aane par tumhe fal milega. Tumhari tapasya ke bal par Kaliyuga me main Kalki Avatar me tumhe apni shakti ke roop me savikaar karunga. 5) Mata Vaishno Devi Yatra Or aaj bhi is Kaliyuga me Mata Vaishnavi Trikuta parvat pr viraajmaan hai (Katra in Jammu & Kashmir) or apne bhakton ka udhar karti hai....kaha jata hai Mata Vaishnavi Tretayuga se lekar Kaliyuga tak yahi par viraajmaan hai unki leela badi hi niraali hai or issi bhumi par Mata Vaishnavi ne Bhairav ka ant kia tha or Bhairav ka mukh upar ki pahadiyon me gir gya or rone laga...Mata mujhe sama kardo sama kardo tab Mata Vaishnavi ne Bhairav ko vardaan dia tha jo bhi bhakt mere dwar par aayega tab tere bhi darhsan avasya honge ardhaat tere darshan ke bina bhakton ki yatra safal nai hogi...isliye aaj bhi hazaaron bhakt Mata Vaishnavi ke darshan ke sath sath Bhairav ke bhi darshan karne jate hai... or yehi se Mata Vaishno Devi ki Yatr