Ghazal - Darwaza Khula Rakhoon by Maqbool Sabri (Sabri Brothers)
Listen to this beautiful ghazal by Maqbool Sabri. This ghazal is from the album Awargi (Vol 3) Please visit https://maqboolsabri.com for more information about Maqbool Sabri and Sabri Brothers. Lyrics ====== Kuch haar piro daaloon, guldaste saja rakhoon Aaraasta mehraaben aangan mein bana rakhoon Farsh e dil o jaan yunhi taa subah bicha rakhoon Hai raat andheri toh chaukhat pe diya rakhoon Shayad ke woh aajaye darwaza khula rakhoon Ab aaya toh na jaane kya wajah batayega Doori mein jo dukh chhele ek ek sunayega Khud aap bhi royega, mujhko bhi rulayega Hai aas na jaane kyun iss raat woh aayega Shayad meri yaad aaye, darwaza khula rakhoon Shayad ke woh aajaye darwaza khula rakhoon Yaad aa hi gayi hogi, ab aa hi raha hoga Dar jaaye na raste mein sunsaan pada hoga Muddat se nahi aaya ab yaad bhi kya hoga Dehleez pe jaa baithoon ghar bhool gaya hoga Aakar na palat jaaye darwaza khula rakhoon Shayad meri yaad aaye, darwaza khula rakhoon Aakar na palat jaaye darwaza khula rakhoon Kya chaah meri usko waisi hi rahi hogi Kya dil ki lagi usko waisi hi rahi hogi Ya mujhse bichadkar woh kuch aur badhi hogi Maine toh na socha tha aisi bhi ghadi hogi Aajaye toh batlaaye, darwaza khula rakhoon Shayad meri yaad aaye, darwaza khula rakhoon Aakar na palat jaaye, darwaza khula rakhoon Darwaza khula rakhoon, darwaza khula rakhoon