Pari In Urdu - Real Life Angel Has Fallen From The Sky In London - Purisrar Dunya HD

04.01.2018
Watch in this video Breaking News about Real Life Angel Has Fallen From The Sky In London. For more Urdu Documentary subscribe our channel Purisrar Dunya. https://youtu.be/685-5gMYPw4 Real Pari in Urdu : pur asraar duniya ke Muaziz nazreen! yun to is duniya mein la tadaad Muhayyur waqeat tareekh ka hissa hain aur bohat se waqeat aisay bhi hain jin ka agarchay haqeeqat se koi talluq nahi lekin ensaan un ko apnay fitri tajassus se majaboor ho kar ahmiyat deta aaya hai. hatta ke aaj 21 win sadi ke insanon mein bhi bzahir nazar anay wali mukhtalif makhloqaat ke ilawa aur kayi aisi qudrati tkhliqat ka wujood bhi yaqeen ya vahm ka hissa hai jin mein dio, bhoot, jin aur pariyan waghera shaamil hain. lekin hamaray mohtaram nazreen aaj hum ny tahiya kar rakha hai ke apkee mulaqaat aik zindah pari se karai jaye jo ensaan numa jism rakhtay hue –apne do barray barray paron ke sath 23 July 2015 ko taqreeban din ke do bajay kisi fazai haadsay ke nateejay mein London ki sarzamen par aagri aur phir uskay jism ko numayesh ke liye aik awaami maqam par rakh diya log is nai makhlooq ke wujood se aashna ho saken . nazreen graami! 23 July 2015 din 2 bajay shehar ke aik Maroof chowk par jab logon ki nazar is ajeeb al-khalqat pari par pari to uski tasaveer internet ki zeenat ban-na shuru huien jo dekhte hi dekhte jungle ki aag ki terhan phail gayeen. nazreen mohtaram! yun to is se qabal bhi aur deegar un dekhi makhloqaat ke baray mein kayi shoshe chhorey ja chuke hain. jabkay haal hi mein samandar ke kinare milnay wali aik jal pari ki laash bhi social media ka hissa ban chuki hai lekin yeh shayad tareekh ka wahid waqea hai ke is boorhi aur gori pari ko baqaida numayesh ke liye shehar ke chowk mein rakh diya gaya ho. ghhor se dekhnay par maloom hota hai ke aasman se girnay wali yeh pari nah sirf insani qad kaath balkay ensaan numa jism ki haamil hotay hue barray barray do par bhi is ke wujood ka hissa hain jin ke bil botay par woh fizaon mein parwaaz kar rahi thi. is ko dekh kar baaz Sahiban aqal ny yeh raye qaim ki ke yeh Umar Raseedah honay ki wajah se naatvaan ho chuki thi jis ki wajah se taaqat parwaaz is ka sath nah day saki aur woh zameen par aagri. jabkay baaz Sahiban Danish ka yeh kehna tha ke yeh shayad alien ke khandan ka koi fard hai jo rasta bhatak kar zameen par agaya hai. jabkay kuch ahbaab ki yeh raye thi ke chunkay is duniya ki Umar tamam honay wali hai so Allah ny –apne moajezae ke tor par is pari ko zameen par bhaij diya. is ke ilawa yeh nazriaat bhi insani fitrat ka hissa rahay hain ke baaz naik pariyan achay logon ki madad ke liye zameen par utarti hain aur shayad yeh pari bhi kisi aisay hi mission par zameen par aayi aur haadsay ka shikaar ho gayi . nazreen! ab hum koshish karen ge ke –apne nazreen ko is boorhi pari ke ilawa aur bhi kayi aisi videos dikha saken jin mein ajnabi makhloqaat ka wujood saabit karne ki koshishen ki gayi hain. jin mein fizaon mein parwaaz karti hui do paryoon ki video, isi terhan India ke tareekhi khndrat ki sair ke mauqa p

Похожие видео