Jab Ghir Gaye Kufe Me Muslim Ke Dulare | Kamran Haider & Maqbool Haider | 2019 HD

30.08.2019
Noha Shahadat Tiflan E Muslim | Shahadat Muslim Bin Aqeel Noha | Martyrdom of Muslim ibn Aqeel | noha shahadat muslim bin aqeel Jab Ghir Gaye Kufe Main Muslim Ke Dulare | Ali Mohammad Sultanpuri | जब घिर गए कूफ़े मैं मूस्लिम के दुलारे | Muslim Ke Dulare Noha V I D E O I N F O ⚫T I T L E | Jab Ghir Gaye Kufe Me ⚫ R E C I T E R S | Kamran Haider & Maqbool Haider Jaunpuri ⚫ P O E T | Syed Waiz Hasan Sultanpuri ⚫ E D I T B Y | Syed Kashfi Abdi ⚫ P O S T E D B Y | #LABBAIK_Ya_Mehdi_ATFS ⚫ C O N T A C T | +917860157935 ----------------------------------------------------------------- ⚫lyrics:- Jab ghir gaye kufe me muslim(a.S.) Ke dulare pardes me tanha they taqdeer ke maare dono baccho ka waha koi madadgaar na tha. Sirf tanhai thi yawar na they ghumkhaar na tha. Wo bhatakte rahe dar dar koi dildaar na tha. Koi dono ki madad karne ko tayyar na tha. Thak kar ke jo girta tha kabhi chota baradar. Chalta tha bada bhai use godh me lekar. chote bhai ne bada bhai se ro kar pucha. Bhaiya itna to batado ke kaha hai baba. Hum musafir hai yaha koi nahi hai apna. Hum ko pardes me ab kaun sahara dega. Har simt andhera hai kaha jayenge bhai. Lagta hai hume baba na mil payenge bhai. Raat kali thi andhere me wo dono bacche. Sehme sehme hue ek ped pa chupkar baithe. Raat bhar lipte they apas me wo ghum k mare. Siskiyan lete they aur rote they chupke chupke. Aahat jo koi hoti thi ghabrate they dono. Patte bhi khadakte they to dar jate they dono. Ek kaneez aayi subah usko tha pani bharna. Usne masoomo ka pani me jo dekha chehra. Dono baccho se ye ghabrake usi dum pucha. Kaun ho aye kaha se ho bata do itna. Dono ne kaha zakham bhut khaye hai bibi. Hum log madine se yaha aaye hai bibi. Naam yasrab ka suna jab to wo tadpi ek bar. Leke baccho ko chali ghar ki taraf wo deedar. Apni malkan se batane lagi sab hale zaar. Momina ne kiya shehzado ko ro ro kar pyar. Kehne lagi darna na meri jaan ho dono. Aaka ke dularo mere mehmaan ho dono. Mutmaeen ho gayi jis waqt ke wo mahalaqa. Le gayi baccho ko hujre me kaneez-e-zahra(s.A.). Khana pani jo diya baccho ka dil bhar aaya. Saamne nazro k maa baap ka chehra aaya. Baba ke liye mehwe buka ho gaye dono. Bin khaye piye rote hue so gaye dono. Haye muslim(a.S.) Ke pisar chand sitare dono. Khwaab se chaunk ke utthe jo dulare dono. Aahe bharne lage apas me wo payare dono. Roye be sakhta taqdeer ke mare dono. Rone ki sada sun ke utha haris-e-malaun. Khanjar liye hujre me gaya haris-e-malaun. Dekha haris ko to masoom bhut ghabraye. Zulfe zalim ne jo pakdi to jigar tharraye. Le chala khenchta masoomo ko zalim haaye. Momina kehti thi haris tujhe maut aa jaye. Masoom hain pardesi hain in par na sitam kar. Haider(a.S.) Ke guletar hai ye zahra(s.A.) Ke guletar. Kitna malaun tha haris ko taras na aaya. Momina ki na suni ek use qatal kia. Baal baccho ke pakad kar wo sitam gar nikla. Bacche kehte they hume maar ke kya payega. D

Похожие видео