B.Sc ke baad kya kare? Career advice from Vicky Shetty HD

21.08.2017
Namaste Mitron! Mai hu Vicky Shetty aapka adviser. B.Sc bahut hi popular course hai india me. Jaise ki aap jaante hi honge isme Physics, Chemistry, Biology, Zoology, Mathematics jaise subjects hote hai. Science aur technology kaafi aage badh chuki hai aur is wajah se B.Sc graduates ke paas aur bhi options available hai. B.Sc me aapko ek field chunni padti hai jaise B.Sc in IT, Maths, Physics etc. To aage jaake aap us field me jobs ke jyaada scope paa sakte hai. B.Sc graduates ke pass bahut saare options available hai. Wo post graduation kar sakte hai apne field me jai M.Sc. Ya phir non-science masters degree courses jaise management, journalism bhi kar sakte hai. Ab dekhte hai Career aur jobs ke options: Jobs ke options bhi hai. We chahe to science ya non-science fields join kar sakte hai. Wo research field me ja sakte hai. IT industry me join ho sakte hai. Iske alawa marketing, marketing research, business aur dusre technical fields me bhi jobs paa sakte hai. Banks me bhi apply kar sakte hai jobs ke liye. Teaching field me bhi jaa sakte hai aage Msc aur BEd karke. Aap Civil Services ke exam dekar government me higher posts paa sakte hai par ye bahut difficult hota hai Aaiye dekhte hai kya job profiles paa sakte hai Bsc graduates: Clinical Research Manager Research Analyst Researcher Scientific Assistant biostatistician technical writer Chemist Kis industry me jobs paa sakte hai? Research institutes IT companies Hospitals Health care providers Chemical Industry Research Firms Oil industry Forest Services To yeh thi mitro B.Sc ke baad ki thodi si guidance. Agar aapke man me koi bhi sawaal ho ya mujhse koi advise chahiye ho to niche comments box par zarur likhiye. Is channel ki advise acchi lagi to subscribe kar lijiye aur share kijiye videos ko Facebook aur google plus pe. Thank You. Love you all. https://www.codehindi.com

Похожие видео

Показать еще