Jab Kabhi Mere Darwaze Woh Fakir Aata Tha... HD

09.08.2018
Jab Kabhi Mere Darwaze Woh Fakir Aata Tha... Woh Bikhri Zulfe Woh Maila Kuchaila Libas... Woh Dhaka Chehra Dekh Kar Dil Mera Tadap Jata Tha... Na Jane Q Uski Aawaz Me Ek Dard Tha Ek Apnapan Tha... Poochne Par Bhi Dil Ka Haal Na Batata Tha...... Jab Kabhi Mere Darwaze Woh Fakir Aata Tha... Paraai Ho Chuki Thi Main Ek Dard Sa Seene Me Tha... Apne sanam Ke Bina Nahi Koi Maza Ab Jeene Me Tha... Poocha Jo Us Fakir Se Kya Karu Bataiye... Q Main Use Bhoolti Nahi Muje Is Gunaah Se Bachaiye... Dekha Jo Meri Taraf to Uski Aakho Me Aasoo Aa Gaye... Shayed Meri Tarah Usko Bhi Mehboob Ka Gam Satata Tha... Jab Kabhi Mere Darwaze Woh Fakir Aata Tha.... Ek Roz Mere Ghar Yeh Paigaam Aaya Tha... Logho Ne Mujhe Mere Mehboob Ke Janaze Me Bulaya Tha... Yeh Aarzoo Thi Uski Main Maujood Rahu Waha Par... Kehne Walo Ne Kaha Mera Hi Naam Tha Aakhri Waqt Bhi Uske Labo Par... Kis Muh Se Main Uska Aakhri Deedar Karugi... Woh Jee Raha Hain Yeh Soch Kar Main Khush Thi... Ab Kis Dilase Par Main Zinda Rahugi... Har Chehre Pe Udasi Har Aakh Me Aasoo Ka Samandar Tha... Yeh Aalam Mere Liye Mano Qayamat Ka Manzar Tha... Har Shaks Waha Khamosh Tha Koi Kuch Na Batata Tha..... Jab Kabhi Mere Darwaze Woh Fakir Aata Tha.... Uski Behno Ne Mujhe Dekhkar, Rote Hue Kaha... Aap Thodi Der Bhetiye Bhai Hain Andar Naha Raha... Unki Batein Sunkar Mano Main Cheekhne Lagi... Diya Khuda Ka Wasta Aur Poocha Yeh Kaise Hua Kuch To Bataogi... Kehne Lagi Behan, Aap Kuch Na Poochiye Humse... Phirte The Deewane ban kr Na Jane Kin Kin Galiyon Me... Pooch Lo Is Bagh Se, Dhoondha Tha Aapko Na Jane Kin Kin Kaliyo Me... Kabhi Pagal To Kabhi Majnu Yeh Zamana Unhe Bulata Tha... Jab Kabhi Mere Darwaze Woh Fakir Aata Tha...... Jab Ho Chuka Nehlana Aakhri Deedar Ke Liye Unhe Laya Gaya... Farsh Ki Chataiee Pe Jis Dam Unhe Litaya Gaya... Maa Ne Kaha Beshak Mere Bachche Ko Le Jaiye... Par Ek Baar Mere Lal Ka Chehra Dikhaiye... Bade Armaan The Main Isko Apne Hatho Se Sajaoogi... Mere Chand Ke Liye Chand Si Dulhan mai Laoogi... Mere Lal Tujhse Mera Aagan Jagmata Tha..... Jab Kabhi Mere Darwaze Woh Fakir Aata Tha.... Jab Kafan Ko Uske Chehre Rukhsaar Se Hatane Lage Sabhi.. Yeh Armaan Mere Dil Me Bhi Tha Dekhu Bas Ek Baar Woh Masoom Ravi... Jab Hat Chuka Kafan Aur Unka Deedar Ho Gaya... Yeh Kya Khata Maine Ki Yah Kya Mujse Aaj Parvar_Digaar Ho Gaya... Gam Ki Chader Odhe Tum Mere Ghar Aate The Main Jan Na Saki... Woh Fakir Tum Hi The Main Pehchaan Na Saki... Q Kiya Tumne Aisa Khud Ko Dete Rahe Saza... Ek Baar To Pukara Hota, Main To Tumhari Thi Sada... Aaj Meri Samajh Me Aaya, Q Tumhari Aakho Me Aasoo Chalak Aata Tha... Jab Kabhi Mere Darwaze Woh Fakir Aata Tha...... Jab Ho Chuki Vidai Aur Meri Duniya Loot Gayee... Jo Aas Dil Me Thi Woh Aas Bhi Toot Gayee... Rukhsati Ke Liye Uthi Aur Kiya Behno Ko Salam... Ek Behan Ne Rote Hue Kaha, Yeh Aakhri Khat Hain Bhai Ka Aapke Naam.... Khat Me Likha Tha Usne Ke Tum Muje Ab Jaan Jaogi... Mere Chehre Ko Dekhkar Woh Fakir Main Hi Tha Yeh Pehchaan Jaogi... Na Jane Kitne Dino Tak M

Похожие видео

Показать еще