Unsolved Mysteries In Urdu - Robert Helpmann In urdu - Purisrar Dunya - Urdu Documentaries HD

18.12.2017
Watch in this video Unsolved Mysteries In Urdu Robert Helpmann In Urdu. For more Urdu Documentaries please subscribe our channel Purisrar Dunya. https://youtu.be/9U38vo4_Wlw pur asraar duniya ke Muaziz nazreen ! yun to jab se you tube wujood mein aayi hai is par mukhtalif qisam ki la tadaad videos nazreen ke mushahiday mein aa chuki hain lekin guzashta do saal se aik aisa mutanazia channel bhi youtube ka hissa hai jo ke 12 ko kisi namaloom maqam se youtube ki screen par apni woh mutanazia videos jo ke pehlay din hi 12 ki tadaad mein daisy arrives aur daisy leave ke unwan se samnay ayen bzahir you tube ki policy se qatee tor par mutabqat nahi rakhtin lekin is ke bawajood nah jany kyun kisi unjani Maslehat ke tehat nazar andaaz karte hue ta haal is channel par koi qdghn nahi lagai gayi. is par chalne wali videos youtube ki policy ke khilaaf kyun hain aur ke darmain usay ghair haqeeqi aur ghair ikhlaqi videos kyun qarar diya ja raha hai is par behas hamaray aaj ke mauzo ka hissa hai lekin is se qabal darkhwast hai ke naye anay walay saathi channel ko subscribe karkay sath mojood ghanti ke button ko daba den . Muaziz khawateen o hazraat! yun to har scienci ijaad ki khoobiyon aur khamion ka dar-o-madar uskay istemaal par hota hai aur video camera bhi inhen ayjadat mein se aik hai. jis ke istemaal se jahan la tadaad istifaday haasil kiye jatay hain wahan baaz juraim pesha log is ke manfi istemaal se nah sirf –apne juraim ki lazzat mein izafah karte hain balkay baad azan is video film ko –apne channels par up load karte hue muashray mein sansani aur ikhlaqi be raah rawi bhi phela rahay hain. jis ki aik misaal robert helpmann Nami channel par mojood woh 12 videos hain jin ko dekh kar aik ghair haqeeqi waqea ko haqeeqat mein dhaalne ka camera ka kamaal samnay aata hai balkay un videos ke sayaq o Sabaq juraim ki pazeerai ka sabab bhi ban rahay hain . nazreen mohtaram! 12 July 2015 ko robert helpmann ki screen par up load honay wali video mein hum aik aisay shakhs ko dekhte hain jo chehray par naqaab oorhay aur hathon mein chaako uthaye aik laash ki be hurmati karte hue lazzat mehsoos karta hai. nazreen dheyaan rahay ke aisay manazair ki videos agarchay you tube par mojood hain lekin hum apni ikhlaqi zimma daari ka ehsas karte hue un ke tazkara aur tasaveer taq hi mehdood rahen ge. un 12 mein pehli video daisy arrive yani Gul daodi ki aamad hai. jabkay aakhri daisy leaves yani Gul daodi ki wapsi hai. un tamam videos ka markaz plastic ke thelay mein lipti hui aik niswani laash hai jisay woh Gul daodi se mushabihat dete hue mukhtalif maqamat par nazreen ko dekhata hai jahan back ground mein moseeqi ki dhnin bikhar rahi hoti hain aur baaz maqamat par woh aadmi khud bhi naqaab pehnay namodaar hota hai aur is laash ko kabhi bzahir khana khilanay ki aur kabhi khud is ko khanay ki adakari karte hue mehsoos hota hai. video ke kayi hisson mein yun mehsoos hota hai ke woh chaltay chaltay pagal pan ke doray ka shikaar ho jata hai. aur woh is laash ko aik tub mein r

Похожие видео

Показать еще